Chahiye Ashish Madhav Namra Guruvar Prarthana Dev, ingit par tumhare, dheye path par badh rahe hain, aap se jyotit anekon deep avichal jal rahe hain rashtra jeevan ka gahan tam, sheegrah hi mitkar rahega matra mandir mein vibhushitk, divya tava aaradhana Chahiye Ashish.. Sankton se purna path par, shubh(?) smriti tava margadarshak phool honge shool saare, mitra honge sab virodhak dijiye vaha shakti rishivar, badh sakein path par nirantar kar sakein saakar guruvar, aapki hum kalpana Chahiye Ashish Madhav.. Shatru ko bhi jeetata tha, aapka charitraya ujjawal, Nindakon par maat karta, aapka vyavhaar nirmal, Matra bhoo ki vedna, jo aap ke hridya(?) mein basi thi paa sakein alpansh bhi to, purna hogi saadhna. Chahiye Ashish.. Pujya keshav the bhagirath, saath laaye sangh dhaara isht unko maan tumne, bhagya bharat ka sanvaara lakshya ki drut(?) purti ho, hum maangte ashish tumse kar sakein hum shegrah puri, maatra bhoo ki archana. Chahiye Ashish Madhav..